Friday, October 29, 2010

Bhala chand kahan aur aadmi gharib kahan

Main talash main tha aik khubsorat humsafar ki
Pata chala kay ye dunia hai sirf maal-o-zar ki
Han bahut si chand si soratain aain nazar main
Kisi bhi chand nay meri janib nahi apni nazar ki

Kiyun koi mera intezar karta hai

Koi mera bhi intezar karta hai
Hai koi jo mugh say piyar karta hai
Maut pas hoti hai aur koi umeed nazar nahi ati
Isi umeed ko lay kar dil phir dor parta hai

Koi mera bhi intezar karta hai

Umar draz hon kuch etna khush shakal bhi nahi
Qarzoon ka bojh na sahi pas aik nikal bhi nahi
Phir bhi hansta hoon aur khoob jeeta hoon
Is yaqeen kay sath kay jana tum ho tu koi fikar bhi nahi

Koi mera bhi intezar karta hai

Ask umar beta di tum nay meri meethi batoon main
Koi jeeta hai sirf jhotay sachay vadoon main
Tum nay dekhay vo sapnay jo meri shairi nay dekhai
Aur aaj bhi tum ho tu zindagi hai meri sansoon main

Han vo mera ab bhi intezar karta hai
Kiyun mugh say vo etna piyar karta hai

Sunday, October 24, 2010

Tugh ko kahon main kiya?

Khusboo kahon kay gul kahon
Dil kahon manzil kahon
Sayel kahon mayel kahon
Asan kahon mushkil kahon
Sher kahon shair kahon
Tugh ko kahon main kiya

Jan kahon kay jan-e-mahfil kahon
Jam kahon saqi kahon
Pagal kahon ghayel kahon
Nadan kahon dana kahon
Ankhain kahon manzar kahon
Tugh ko kahon main kiya

Sub such kahon kay jhoot kahon
Tugh ko kahon main kiya

Thursday, October 21, 2010

Koi chal raha hai meray saath saath

Meray dil main bas giya hai koi, koi hai mera humsafar
Meray hawas par cha giya hai koi, koi ghar main hai mera muntazar
Meri dharkanon main hai koi, koi chal raha meray sath sath
Sirf dil lagi kar raha hai koi, koi thamay hoay hai mera hath

Wednesday, October 20, 2010

Meri zameen aur mera chand

Koi zindagi hai meri aur koi meray dil main rahta hai
Is ko khusian mughay piyar say matlab aur vo meray saray dukh dard sahta hai
Ye nasamajh, alhar, batooni vo kam sukhan umar draz ranjeeda
Eik ko apni kamsini aur husn par naz dusra meray jaisa sanjeeda
Kabhi ye khush tu vo ghamgeen aur kabhi vo shahed tu ye namkeen
Mughay dono chahiyan kiyun kay chand zameen kay saath hi tu rahta hai

Sunday, October 10, 2010

Aiy dil alvida...

Main dil chura kay laya hon
Main nazar bacha kay aya hon
Ye tumhari nazar ka qusoor tha
Vo uthi nahi tu kiyun nahi
Jo shae tumhain aziz thi
Mughay zarorat us ki shadid thi
Kaheen kho gai tu kiya hoa
Meri ho gai tu kiya hoa
Ab ye dil meray pas hai
Main shochta hon bhala hoa
Ye tumharay pas bahut raha
Is nay chupkay chupkay bahut kaha
Tum nay nahi suna koi gila
Phir ye mugh par aa giya
Mugh ko ye lubha giya
Janay du ju giya giya
Band karo sub gila
Kaho 'alvida, aiy dil alvida'

Eik haseen khiyal

Tum khiyal ki misal ho
Aur kamal ka jamal ho
Tum singhar ki shan ho
Aur adaon ki aan ho
Tum bahar ki eik kali
Aur piyar ki vo gali
Tum husn ki majal ho
Aur eik haseen khiyal ho
Tum ho vo haqiqat-e-muntazar
Karay dharkanain jo muntashar
Salam hai tumhain kay tum
Meray husn-e-nazar ka kamal ho

Saturday, October 9, 2010

Ashiq ka dil

Dil ka mamla hai ye dil pay chor dey
Itni aqal kahan kay bandhan ko tor dey
Hoga lahu ye jab tu doray ga her taraf
Ashiq ka dil hai ye jo sena bhi tor dey

Sunday, October 3, 2010

Qatil mera sahi tha

Kiyun qatl hoa main aur kiyun dil bana nishana
Meray ansoun say pucho meray piyar ka fisana
Jo bewafa nahi main tu mera jurm kiya wafa hai
Aiy qatiloon batao kay wafa ki ye saza hai
Main lash ho giya hun aur tum ab bhi khush nahi ho
Aik bar muskura do tu jo ghalat hoa sahi ho
Mughay hausla milay ga vo etna bura nahi tha
Khud main gavah banu ga qatil mera sahi tha