Friday, January 28, 2011

Dosti ki umar

Umr guzri hai teray sath meray dost
Tu nahi teri yaad tu hai meray dost
Tera piyar, teri nafrat, teray badaltay tevar
Meray ehsas ka hissa hain ye lamhay saray
Tera ishq-e-junon khez, phir mil kar bichar jana
Ab teri yaad ka qissa hain ye jazbay saray
Tu yaheen hai, meri yaadon kay shabistanooon main
Tu nahi hai tu meri raaton kay veranoon main
Sham hotay hi teri yadon main kho jata hon
Jagtay jagtay janay kab so jata hon