Friday, April 22, 2011

Chehra badal latay hain log...

Us chehray ko kia nam dain hum jo her shakal main apna lagta hai
Kiyun ghairon ko ilzam dain hum jab saya bhi chupnay lagta hai
Us rah say phir kiyun guzrain hum jis rah main hon lakhoon kantay
Kaisay karain aitbar kisi ka her shuks tu jhuknay lagta hai

Faslay hain darmain...

Hazaron milon kay faslay hain tumharay meray darmian
Dilon main hain mohabattain, tum vohan aur hum yehan
Phool bhaijon ya khat lekhon ya geet gaon firaq kay
Jal raha hon main ishq main, ho raha hon dhuan dhuan

Monday, April 18, 2011

Sochta hon...

Sochta hun kay kis soch main gum rahta hun
Dil kay arman na niklay magar khush rahta hun
Mugh ko maloom hai tum nay kabhi chaha hi nahi
Tum ko maloom hai is dil nay kisi aur ko chaha hi nahi
Lakin jo hona tha hoa aur tum kisi aur kay daman ki kali ho aaj
Chalo achcha hoa ishq nakam raha mera aur tum bhali ho aaj
Ab bhi rah rah kar aik dard sa uthta hai is dil main
Sochta hon kay kiya soch kar chaha tha tumhay is dil nay
Tum say shikva tu nahi lakin etna mughay kahna hai zaroor
Tumhay chaha hai, chahain gay humesha kay hum hain majboor

Thursday, April 14, 2011

Meray Allah burai say bachana mugh ko

Main yehan hun aur khud ko vohan dhund raha hun
Aik zarra hun or khud main jahan dhund raha hun
Meray Allah thami hai teri rassi bari mushkil say
Na khudaon main kiyun main khuda dhund raha hun

Tuesday, April 12, 2011

Dag e sagood

Mangtay hain vo meri nimazoon ka suboot
Jhoot, chori aur dhoka jin kay dag e sajood