I have decided to go quiet. Yes, you got me right. I always thought that it is so much fun to communicate -- with your voice. Apparently it is not. The over and under tones of your voice can so aptly convey feelings of love, hate, joy, sorrow and everything in between. This was my understanding and it has failed me so often in my life that I am beginning to doubt myself these days. Instead, it is more fun to communicate through writing, and writing alone.
One word -- 'reasonable', has been the guiding light of my entire life. I thought you can reason and be reasoned and that it is an innate ability amongst all of us. I was wrong. It is not. My experience teaches me that the conviction of your feelings are often carried in your voice along with the words you chose to say whatever it is that you want to communicate and any attempt to be reasonable is actually considered very 'unreasonable' of you. I am guilty as charged.
I have lost a lot of my published and unpublished work over the years to diaries, computer hard drives and, lately, to memory sticks. It seems only appropriate to find a home for my work on the world wide web for friends to see where was I going with my thoughts, when I am finally gone! You will see some samples of my shairi as well. -- A. Salahuddin
Monday, September 27, 2010
Sunday, September 19, 2010
Han vo pagli si larki akarti bahut thi
Aao tumhain eik kahani sunaon
Apna tumhain eik raz bataon
Kiya chahta tha aur kiya bun giya main
Tumhain is ki eik vajjah khas bataon
Kahan tak sunno gay kahan tak sunnaon
Kay ye kahani eik larki say munsoob hai
Us larki kay baray main kiya main bataon
Vo subhoon say alag thi aur laraku bahut
Phir ainak ka lagna aur ban gai parhaku bahut
Zara jo main etraon tu larti bahut thi
Han vo pagli si larki akarti bahut thi
Main bhoola nahi hoon us ki masoom surat
Paryoon sa chehra, nahi is say bhi khubsurat
Vo aj bhi meray geeton aur shairon main hai
Tussavar main vo aur shair andheron main hai
Kahan tak sunno gay kahan tak sunnaon
Kay ye qisa meray larakpan ka hai
Aur shaid uskay bachpan ka hai
Mughay kiya pata tha, vo bay khabar thi
Aisay main us par pari eik nazar thi
Vo nazar aaj bhi meray kheyaloon main hai
Guzray hoya in mah-o-saloon main hai
Kahan tak sunno gay kahan tak sunnaon
Kay larakpan phir dheray say jata raha
Us ka joban mughay phir satata raha
Umangain nai her dum jagata raha
Aur main apnay ko qabil banata raha
Din raat kam bas kam karta raha
Phir vo chupkay say kisi aur ki ho gai
Dil ro para kay meri roshni kahain kho gai
Kiya main nay socha tha aur kiya ho gia
Aisa laga kay ji sakon ga us ka bagair
Lakin zindagi phir ye saneha sah gai
Kahan tak sunno gay kahan tak sunnaon
Ye qisa etna muqtasar bhi nahi
Ye tu baat bas apnay muqadar ki hai
Ye kahani nahi jo main nay kahi
Ye zindagi ka sub say bara raz hai
Yehi yaad meray pass hai aur kuch bhi nahi
Agar ye sirasa ghalat hai tu ghalat hi sahi
Kahan tak sunno gay kahan tak sunnaon
...to be continued/work in progress
Apna tumhain eik raz bataon
Kiya chahta tha aur kiya bun giya main
Tumhain is ki eik vajjah khas bataon
Kahan tak sunno gay kahan tak sunnaon
Kay ye kahani eik larki say munsoob hai
Us larki kay baray main kiya main bataon
Vo subhoon say alag thi aur laraku bahut
Phir ainak ka lagna aur ban gai parhaku bahut
Zara jo main etraon tu larti bahut thi
Han vo pagli si larki akarti bahut thi
Main bhoola nahi hoon us ki masoom surat
Paryoon sa chehra, nahi is say bhi khubsurat
Vo aj bhi meray geeton aur shairon main hai
Tussavar main vo aur shair andheron main hai
Kahan tak sunno gay kahan tak sunnaon
Kay ye qisa meray larakpan ka hai
Aur shaid uskay bachpan ka hai
Mughay kiya pata tha, vo bay khabar thi
Aisay main us par pari eik nazar thi
Vo nazar aaj bhi meray kheyaloon main hai
Guzray hoya in mah-o-saloon main hai
Kahan tak sunno gay kahan tak sunnaon
Kay larakpan phir dheray say jata raha
Us ka joban mughay phir satata raha
Umangain nai her dum jagata raha
Aur main apnay ko qabil banata raha
Din raat kam bas kam karta raha
Phir vo chupkay say kisi aur ki ho gai
Dil ro para kay meri roshni kahain kho gai
Kiya main nay socha tha aur kiya ho gia
Aisa laga kay ji sakon ga us ka bagair
Lakin zindagi phir ye saneha sah gai
Kahan tak sunno gay kahan tak sunnaon
Ye qisa etna muqtasar bhi nahi
Ye tu baat bas apnay muqadar ki hai
Ye kahani nahi jo main nay kahi
Ye zindagi ka sub say bara raz hai
Yehi yaad meray pass hai aur kuch bhi nahi
Agar ye sirasa ghalat hai tu ghalat hi sahi
Kahan tak sunno gay kahan tak sunnaon
...to be continued/work in progress
Tuesday, September 7, 2010
Aiy dil
Main nay dekha hai tumhain sirf, pukara tu nahi
Kay tera husn hai ye, koi aam nazara tu nahi
Main agar chahun bhi tu is dil ko rokoon kaisay
Ye dharakta hai magar ab ye humara tu nahi
Jab bhi uthti hain vo burhum nigahain humpar
Shuck sa hota hai kiyya tumnay eshara tu nahi
Phir jo juhkti hain vo nazrain tu kheyal aata
Vo kabhi tha jo humara, ab humara tu nahi
Kay tera husn hai ye, koi aam nazara tu nahi
Main agar chahun bhi tu is dil ko rokoon kaisay
Ye dharakta hai magar ab ye humara tu nahi
Jab bhi uthti hain vo burhum nigahain humpar
Shuck sa hota hai kiyya tumnay eshara tu nahi
Phir jo juhkti hain vo nazrain tu kheyal aata
Vo kabhi tha jo humara, ab humara tu nahi
Sunday, September 5, 2010
Man hon ya nahi
Jo uri nahi, wo khabar hon main
Jo bars para, wo abr hon main
Jo zeer nahi, wo zabar hon main
Jo hoa nahi, wo sabr hon main
Jo mili nahi, wo saza hon main
Jo ki bahut, wo dua hon main
Jo sunni nahi, wo fughan hon main
Jo bhali nahi, wo ada hon main
Jo chali hai tez, wo hawa hon main
Jo sili nahi, wo qaba hon main
Jo kahi nahi, wo katha hon main
Jo ho gai, wo khata hon main
Jo hoi nahi, wo wafa hoon main
Jo di nahi, wo sada hoon main
Jo ho giya, wo gunnah hoon main
Jo mili kaheen, wo panah hoon main
Yahan hon main, vohan hoon main
Bata khuda kahan kahan hon main
Jo bars para, wo abr hon main
Jo zeer nahi, wo zabar hon main
Jo hoa nahi, wo sabr hon main
Jo mili nahi, wo saza hon main
Jo ki bahut, wo dua hon main
Jo sunni nahi, wo fughan hon main
Jo bhali nahi, wo ada hon main
Jo chali hai tez, wo hawa hon main
Jo sili nahi, wo qaba hon main
Jo kahi nahi, wo katha hon main
Jo ho gai, wo khata hon main
Jo hoi nahi, wo wafa hoon main
Jo di nahi, wo sada hoon main
Jo ho giya, wo gunnah hoon main
Jo mili kaheen, wo panah hoon main
Yahan hon main, vohan hoon main
Bata khuda kahan kahan hon main
Saturday, September 4, 2010
Yadain
Yadoon ki baratoon main
Puray chand ki ratoon main
A-hu jaisi ankhoon main
Hirni jaisi chaloon main
Nazuk nazuk hantoon main
Kalay lambay baloon main
Khati methi batoon main
Kuch naqad liya udhar diya
Subh kuch apna var diya
Main nay jevan har diya
Puray chand ki ratoon main
A-hu jaisi ankhoon main
Hirni jaisi chaloon main
Nazuk nazuk hantoon main
Kalay lambay baloon main
Khati methi batoon main
Kuch naqad liya udhar diya
Subh kuch apna var diya
Main nay jevan har diya
Friday, September 3, 2010
Those who live in glass houses...
Wo eik shukhs jo sheshay kay ghar main rahta hai
Kho giya hai kaheen, kuch kiyun nahi wo kahta hai
Qarib tha to lubhata tha dil ko khoob meray
Chala giya hai to dil chup hai, sahta hai
Main us ka ishq nahin hon, wo mera piyar sahi
Tumam umar meri ab ye intezar sahi
Wo dur jakay bhi kwaboon main meray aata hai
Kabhi suna tu nahi koi yun satata hai
Agar wo ghair nahi tu ye andaz-e-dilbari kiya hai
Wo eik shukhs jo nahi janta khushi kiya hai
Kho giya hai kaheen, kuch kiyun nahi wo kahta hai
Qarib tha to lubhata tha dil ko khoob meray
Chala giya hai to dil chup hai, sahta hai
Main us ka ishq nahin hon, wo mera piyar sahi
Tumam umar meri ab ye intezar sahi
Wo dur jakay bhi kwaboon main meray aata hai
Kabhi suna tu nahi koi yun satata hai
Agar wo ghair nahi tu ye andaz-e-dilbari kiya hai
Wo eik shukhs jo nahi janta khushi kiya hai
Thursday, September 2, 2010
Dulhan
Qaza aa gai jo sawarnay say pahlay
Dulhan dar gai kay marnay say pahlay
Ye hasrat rahay gi kay tum pas aao
Meray surkh joray ka ghonghut uthao
Mughay dekh kar haath apnay barhao
Bahut piyar say saath mughko bethao
Phir payar ka koi eshara karo
Main sumjhoon nahi tu dobara karo
Raat dhulnay ko hai jism pighalnay ko hai
Hoosh baqi nahi dum nikalnay ko hai
Farishtay say kah do 'kahain aur jao'
Bas ab mughko jaldi say dulhan banao
Dulhan dar gai kay marnay say pahlay
Ye hasrat rahay gi kay tum pas aao
Meray surkh joray ka ghonghut uthao
Mughay dekh kar haath apnay barhao
Bahut piyar say saath mughko bethao
Phir payar ka koi eshara karo
Main sumjhoon nahi tu dobara karo
Raat dhulnay ko hai jism pighalnay ko hai
Hoosh baqi nahi dum nikalnay ko hai
Farishtay say kah do 'kahain aur jao'
Bas ab mughko jaldi say dulhan banao
Wednesday, September 1, 2010
Aetbar
Teri wafa ka mughay aetbar ab bhi hai
Mila nahi, na sahi, mera piyar ab bhi hai
Utihi nahi jo nazar piyar ki meri janib
Usi nazar ka mughay intizar ab bhi hai
Saba jo cho kay tumhay aikbar aai hai
Goloon ko chor kay tum par nisar ab bhi hai
Meri nahi ho, kisi aur ki amanat ho
Magar ye dil hai kay beqarar ab bhi hai
Meri wafa teri majborian summajhti hai
Teri wafa ka isay eitbar ab bhi hai
Mila nahi, na sahi, mera piyar ab bhi hai
Utihi nahi jo nazar piyar ki meri janib
Usi nazar ka mughay intizar ab bhi hai
Saba jo cho kay tumhay aikbar aai hai
Goloon ko chor kay tum par nisar ab bhi hai
Meri nahi ho, kisi aur ki amanat ho
Magar ye dil hai kay beqarar ab bhi hai
Meri wafa teri majborian summajhti hai
Teri wafa ka isay eitbar ab bhi hai
Raz-e-hasti
Tughay dhund hi raha tha kay khula ye raz-e-hasti
Kay bulandion ko rastay jatay hain rah-e-pasti
Kay bulandion ko rastay jatay hain rah-e-pasti
Subscribe to:
Comments (Atom)