Tuesday, November 16, 2010

Koi pukar raha hai...

Teray kheyal kay jaisa meray junoon ki surat
Kabhi sarab kay manind kabhi yakeen ki surat
Kisi makan kay jaisa, kisi makeen ki surat
Kisi kay piyar main kisi mahjabeen ki surat
Koi pukar raha hai, kaheen say aa rahi hai sada
Aik sang-e-dar chahiay aur aik haseen si surat

No comments: