Wednesday, February 9, 2011

Tumhay qasam hai...

Tumhay qasam hai zamanay ki chal mut chalna
Jo hal mera hai apna vo hal mut karna
Koi milay jo mohabat main tum ko samjhai
Khudara ghor say sunna koi ulta saval mut karna
Javani char din ki phir lambi musafat hai
Jo kaat di aish-o-tarab main, uska malal mut karna
Bura laga agar tokna tum ko Arif ka
Divana jan kar us ka khiyal mut karna

Tuesday, February 8, 2011

Ye tumhara piyar kaisa

Ye kahan ki dosti hai ye tumhara piyar kaisa
Jab dilon main vasvasay hon tu aitbar kaisa
Mughay piyar karnay valay na do piyar main dilasay
Jab rooh muztarab hai tu dil ko qarar kaisa
Mughay azma rahay ho ya dil jala rahay ho
Karo ghair pay enaayat tu hum say piyar kaisa
Jo mal-o-zar nahi ab tu tum dur ja rahay ho
Rah-e-wafa main jana ye karobar kaisa

Wednesday, February 2, 2011

Tu hai meri shooq gazal

Tera chera hai kay Urdu ki koi shooq gazal
Teri ankhain hain kay pani main koi khilta kanwal
Teray hontoon kay piyalay hain kay jam-e-qhamar
Teri zulfoon kay andheray hain kay vada-e-vasal
Ye ghazab kay qad-o-qamat aur adaain chanchal
Teri batoon main vo khusbo nahi jis ki naqal
Tugh ko pa kar main aksar is sooch main par jata hoon
Binte-Havva ho ya janat ki koi hoor, pochahay hai aqal