Tuesday, November 23, 2010

Wafa na karon tu kiya main karon

Wafa na karon tu kiya main karon
Wafa ki kuch aisi aadat pari hai
Mudat hoi hai aik bewafa kay saath
Kothaai-e-qismat kahan ja lari hai

Monday, November 22, 2010

Zardari; hang, hate or honour him?

Asif Ali Zardari had left a trail of paper work from Pakistan to Switzerland as first husband. As President of Pakistan, he believes in little paperwork. His word is his command. If you are not with him, you are against him. You are doomed. He couldn't care less.
He is lording over a nation which has been led to believe that there is democracy in the country. Yes, it is the drone democracy. In other words, 'Americans are free' under Zardari government to target anyone and everyone using unmanned drones. Why? They are paying him well to carry out the attacks. Mr Zardari believes, if you can't fight the Americans, you might as well join them. Smart guy, isn't he! He knows which side of the bread is 'dollared.'
Next, the drone attacks will be all over Pakistan. Yes, make no mistake, there is no such thing as being a little pregnant. Yesterday, the attacks were along the borders. Today it is much further into Pakistani territory. Tomorrow, entire sovereign territory of Pakistan will be fair game. Why? He is paid well stupid!
Am I suggesting he is on the take? No, of course not! It is the Americans who are at fault. Why are they on the 'give'?
As for Mr. Zardari's legacy, I just don't know if he should be hanged, hated or honoured for whatever he did for the country! It is only fair to leave that to the Chief Justice of the Supreme Court of Pakistan to decide.

Friday, November 19, 2010

Hum piyar kay qabil nahi rahay

Ankhain khuleen tu dekha aap muqabil nahi rahay
Aisa bhi kiya hum piyar kay qabil nahi rahay
Kal tak ki baat hai miltay thay roz aap hum
Kiyun aj dostoon main hum shamil nahi rahay
Shayed janab aazma rahay hain meray piyar ko
Ya khud ap apnay vadon par kamil nahi rahay
Main aaj bhi hon vaisa jaisa kay tha humesha
Han ab aap asai 'choti baton' kay qail nahi rahay
Hasntay hain aap hum par jo kabhi shikva kiya koi
Kabhi qabil thay humaray piray kay ab qabil nahi rahay

Tuesday, November 16, 2010

Kushish tu bahut ki

Kushish tu bahut ki kay kuch tum say kahain hum
Khamoosh rahay lub aur, ansoon main bahay hum
Phir thak har kay humnay bhi diay dil ko dilasay
Vo kuch tu bhi nahi hai gar chahain na usay hum

Koi pukar raha hai...

Teray kheyal kay jaisa meray junoon ki surat
Kabhi sarab kay manind kabhi yakeen ki surat
Kisi makan kay jaisa, kisi makeen ki surat
Kisi kay piyar main kisi mahjabeen ki surat
Koi pukar raha hai, kaheen say aa rahi hai sada
Aik sang-e-dar chahiay aur aik haseen si surat

Sunday, November 14, 2010

Khamoshi guftugo hai sub zabanon ki...

Bahut din say chup hon aur sub sun raha hon
Ye bhi arman tha kay main kahon tum sab suno
Phir dil nay kaha tum chup raho bas chup raho
Dil aur aqal main phir eik ghambir jang chir gai
Kay sub awzain, bolian, bhashain hain bas inteshar
Sirf khamoshi guftugo hai sub zabano ki meray yar

Ye aman ki faqta hai aur bolian bas inteshar...

Monday, November 1, 2010

Janey kiyun

Janay kiyun jan kar anjan ban jatay hain log
Dard-e-dil kay vastay nadan ban jatay hain log
Vo takaluf bartaraf arsa rahay dil main meray
Phir zara si baat par mehman ban jatay hain log
Ye muhabat ka junoo tha ya husn pay unka ghuroor
Rafta rafta dard ka unvan ban jatay hain log